♥♥Is story ka Ist part 27 march
ko publish huaa tha. to
shuruaat yaha se karta hu,
me aur nancy dono hi alag
alag shahar me chale gye
the apni apni graduation complete karne ke liye…….
ab usko pratyaksh to dekh
nahi sakta tha par mobile se
batcheet jari thi……. is
mobile ne bhi kafi bhala
kiya hai premiyo ka …… anyway mujhe is shahar aay
8 months ho gye the …. aur
me nancy se 8 mahino se
nahi mila tha , ek din papa
ne kaha ki me unke
documents le aayu naredra uncle ke pas se , upar vale
ki mahti kripa se vo uncle
usi shahar me rhte the jaha
par nancy ka admission
huaa tha…… mene bhi
socha ki abi tak to bhagdodh hi bani rahi ab
thoda prem bhi pradarshit
kiya jaye , mene turant
nancy ko fone kiya …. “kal
sham 4 bje shaheed park aa
jana” ….. “kyu?” .. “me aa rha hu yadi aapki iksha ho
to me milna chahta hu”
mene shararati lahje me
kaha.., “phle btana tha na”
is bar nancy ke swar me
jhujhlahat thi, “dekhiye nancy ji aapko milna
padega … aap chahe ya na
chahe …” me apni bato se
use tang kar rha tha. “to
mene kab mana kiya hai …
kal aa jaungi” is bar usne sakaratmak uttar diya tha,
vese ye uttar vo phli bar me
hi de sakti thi par aap log
jante hi ho in ladkiyon ko …
khud me hi jane kitni
confused hoti hain.. :) us din me subah subah me uncle
ke ghar phucha .. par
documents collect karte
karte late ho gya….. khair
kisi tarah sham 6 bje park
me dakhil huaa… mene nazar dodai to ek kone me
nancy khadi thi….. me uske
pas phucha…” kya huaa ?
tmne to 4 bje bulaya tha ..
traffic me fas gye the kya??”
usne muskurate huye danadan sawalon ki
bochhar kar di ., “ha kuch
aisa hi tha” mene ha me sar
hilate huye kaha.., “aa chal
kahi bethte hai , bahut thak
gya hu” me itna kahta huaa ek bench ki taraf chal pada
… vo bhi mere sath hi bench
par beth gyi … “phle to tum
pani piyo aur fir kuch aur
bhi hai tmare liye” usne
apne bag se pani ki bottle aur lunch box nikalte huye
kaha …… “isme kya hai ?”
mene box ki taraf ishara
kiya.. “khud hi dekh lo”
dosto usme “chane ka
saag” tha, ye chane ke ped ki patti se banaya jata hai
aur ye meri manpasand dish
hai … aur adhiktar villages
me banai jati hai … “tum
kaha se le aayi ye?” mene
pucha.., “bas le aayi tmare liye..” abki bar kuch
romantic lahza ho gya tha
uska.. “achcha…mere liye..”
is bar mujhe hasi aa gyi thi..,
“ha vo me buaa ke yaha rah
rahi hu , fufa apne gaanv se laye the aur ha banaya
mene hai” usne ‘banaya
mene hai’ par kuch jyada hi
jor diya tha…, “vese me bhi
tmare liye kuch laya hu” me
ab tak kha chuka tha., “kya??” usne chahkte huye
pucha…. “kuch khas nahi
bas flower with flower-pot
hai” mene flower uske
samne kar diya tha.., “ye
kiska phool hai?” usne pucha. ” Gobhi ka..” mene
shaleenta se uttar diya ,
halanki me nancy ke chehre
par aa rhe jhunjhlahat ke
bhavo se purntaya wakif
tha.., “isko dene ki kya jarurat thi..??” vo usko leti
hui boli., “mene soch ki
gulab ka phool to sabi dete
hain , kuch diffrent diya
jaye…” mene apna paksh
rakha, is bar vo pyar se meri nak pakad ke daye baye
hilati hui boli ,” gulab ka
phool is liye diya jata hai
kyuki har ladki ko gulab ka
phool pasand hota hai..”
mene bhi kaha jesa tum chaho aur gobhi ka phool
upar se hata liya jiske niche
surkh lal gulaab ka phool
tha ….ye flower-pot mere ek
dost ne khas mere liye
design kiya tha jisme pot ke upar gulaab to rhta hi tha
par gulab ko gobhi ke
phool me is tarah se set kiya
jata tha jisase gulaab nazar
na aaye. nancy gulaab
dekhkar bhut khush ho gyi thi …. mene dhire se fir kaha
…” i love u vary much” …..
ab sharm, joki bhagwan ka
ladkiyo ko ek behtreen gift
hai, uske chehre par chha
rhi thi …. aur gulaabi galon ko aur gulabi bna rhi thi …..
me to kurban ho gya tha
uski aisi sthiti par … “tum
bhi kuch bolo” mene kaha ,
“tum sab to jante ho fir kyu
puchte ho ” nancy sharmati huyi boli , “me tmare muh se
ek bar sunana chahta hu”
mene kaha , ” ok baba , i luv
u 2 , ab thik hai ” nancy ne
vo kah diya tha jo me
sunana chahta tha., kafi der ho chuki thi park me ya yu
kaho ki rat hi ho gyi thi , ab
nancy bhi boli me chal rahi
hu, me bhi usko uske buaa
ke ghar chhodkar ravana
ho gya apne shahar ke liye.., ye meri dusari mulakat
thi kisi park me … kuch
ahsas hi alag hota hai pyar
ka,……ek ajeeb si sirhan
dodh jati hai badan me jab
uski koi bat dil ko chu jati hai…., hamari mulakate hoti
rahi aur me graduation last
year me phuch gya …… is
beech kai bar jhagde bhi
ham dono ….. mera manana
hai ki pyar tab tak aage nahi badh sakta jab tak jhagda
na ho …. ha vo jhagada kisi
shak ki vajah se nahi hona
chahiye.., me graduation
complete karke apne ghar
aa pya aur papa ka business sambhal liya
tha…… ab nancy ke papa
badi ladki ki shadi karne ke
bad nancy ke liye var ki
talaash me the , mene nancy
se kaha ki vo bta de par vo btane me sankoch kar rahi
thi to mene soch mujhe
khud hi sab kuch karna
padega…, me ek din nancy
ke ghar phucha ….. uske
papa nahi the ….maa jaroor thi … vo to mujhe dekhte hi
bhadak gyi …. purani
dushmani jo thi.., khair
mujhe ulte pair ghar lautna
pada…., “us sham ko nancy
ka fone aaya ki tum mere ghar ab mat aana , maa din
bhar mujhe taane deti hai
blaaah blaaah blaaah….,
mene bhi socha ki ab uncle
se unke office me bat karna
sahi rhega .., me agle din uske papa ke office gya ,
uske papa nihayat hi sakht
the … aur ek tarah se meri
aur nancy ki shaadi ke
khilaf the , unhone phle
mujhe mana karna chaha par me thahra jiddi , me
unse lagatar milta rha aur
unhe raazi karne ka prayas
karta rha ….. kuch din bad
mujhe jese hi laga ki vo man
jayege tabhi mujhe nancy ne btaya ki vo shadi tay kar
chuke hain …… ab me apne
jiddipan ke purane roop me
aa gya tha, is bar me unhe
samajhane nahi bas ye
btane gya tha ki me aur nancy agle mahine ki 15
tareekh ko shaadi kar rhe
hain agar vo aana chahe to
aa sakte hain…..is par
unhone mujhe police ki
dhamki di jo ki sabse aasan dhamkiyon me se mana jata
hai ….. mene bhi unko unhi
ke lahze me jawab diya agar
15 ko aapne nancy ko ghar
se nahi nikalne diya to is bar
case aap par chalega kidnapping ka aur gawah
hogi nancy…… , mere is
petare ka sakaratmak
prabhav huaa aur unhone
apne ghar se shaadi karne
ka nishchay kiya…., is vakye ke 2 mahine bad me lawn
me betha newspaper pad
rha tha …. meri table par
subah ki chai aa gyi thi ….
mene dhire se chai ka ghoot
liya aur me bura sa muh bna kar uth khada huaa.. thodi
dur par ‘nancy’ sorry ‘meri
wife nancy’ khadi has rhi
thi , karan chai ki jagah
thanda pani tha aur meri ye
galat aadat thi ki me chai peete vakt newspaper se
dhyan nahi htata tha jisko
badlne ke liye nancy ko ye
kadam uthana pada
tha…..!!! THE END♥♥